πΈππΈ
βββββββββββββββββββββ
*Π²ΙͺΡΠΌΙͺΚΚΞ±Π½ΙͺΚΚΞ±Π½ΠΌΞ±ΥΌΙͺΚΚΞ±Π½ΙͺΠΌ*
ββββββββββββββββ
*TABLIGβ΅ RAAHEβ΅ NIJAATβ΅ HAi*
βββ
ββββ β¦βββββ
ββ
*PART-830*
β¦β§β¦β§β¦β§β¦β§β¦β§β¦β§β¦β§β¦β§β¦
ββ¦β¦ .. _Hamare Gashto Ka Maqsad ,
β¬β’ Abhi Tak hamara Kaam in Gashto ke zariye Maqsad Tak pahunchne Wala hua hi nahi hai ,
β β’ _ Ek Musalman ko Allah se milana, Usko Fara'iz se milana , Usko Masjid ke mahol mai rakh Kar Usko andar se badalne ki fikr Karna , koshish karna ,Abhi Tak hamara gasht is maqsad Tak nahi aaya , Abhi Tak zahan mai mulaqaate baraye mulaqaat hai'n ,
β β’ _ Ek Sahab Kehne lage ,Meri Dukaan per 20 Saal se Gasht hota hai , Log aate hai'n ,Baat sunte hai'n, Mulaqaat Kar ke ,Baat sun Kar log Ghar chale Jate Hai'n , 20 Saal ke Baad ek Esi Jama'at aayi Jisne kaha - Hum Aapse Baat Karna chahte hai'n Lekin Aapse Darkhwast hai k Hamari Baat Masjid mai chal Kar suno ,
Masjid mai Kyu ? Yahi'n kar lo , Jama'at ne kaha - Agar hum Aapko Apne Ghar bulate to Kya Aap ye kehte k Khaana yahi'n bhej do Aap Khush Hote aur Hamari Dawat qubool karte ,Aap aane se inkaar nahi karte ," Humne Kaha - Ji Sahi Baat hai , Jama'at ne kaha - Jab Aap mere Ghar aane se inkaar karne mai Sharma rahe hai'n to Allah ke Ghar mai aane se kya inkaar hai ?
Ye Esi Baat Kahi Jama'at ne k Mera Sar Sharm se gad gaya Mai'n Sar nahi utha saka , Le Kar aaye Masjid mai , Mujhe Wazu karaya ,Le Kar bethe ,Kehne laga Khuda ki qasam is Waqt Meri 60-65 saal ki Umar hai ,Ye Meri Zindgi ki pehla moqa hai k Maine Aapki Barkat Aaj Allah ke Ghar mai Qadam rakha hai , 20 Saal se Gasht hota Hai , 20 Saal se Gasht karne walo ki Baate sunta hu'n,, Lekin mujhse kisi ne nahi kaha k Masjid mai Chalo ,Meri Zindgi Ka pehla Din hai ye k Mai'ne Allah ko Sajda Kiya hai ,Agar is Haal mai Mar Jata to Kya hota ?
------- Baqi hidayaat agle part mai,
β
β’ π 831 in. sha Allah ta'ala,
ββββββββββββββββββββββββββββββββββββ
π Admin (Haqqkadaayi) Ki Diary _2018 ,
β Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He,
β *Talib e Dua*,
β *Haqq Ka Daayi*,
βββββββββββββββ
Congratulations @vasimji! You have completed the following achievement on Steemit and have been rewarded with new badge(s) :
Award for the number of comments
Click on the badge to view your Board of Honor.
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word
STOP